Peet karna to hum se nibhaana sajan,
hum ne pehlay hi din tha kahaa na sajan
Tum hi majboor ho, hum hi mukhtaar hain,
khair maana sajan, yeh bhi maana sajan
Ab jo hone ke Qissay sabhi ho chuke,
hum tumhein kho chuke, tum humein kho chuke
Aagay dil ki naa baaton mein aanaa sajan,
K yeh dil hai sadaa ka diwaana sajan
Yeh bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani,
sooni raaton mein dekha kiye chaandni
Per yeh sauda hai hum ko puraanaa sajan,
aur jeene ka apnay bahaana sajan
Shehr ke log achhe hain hum-dard hain,
per hamaari suno hum jahaan-gard hain
Daagh-e-dil na kisi ko dikhaana sajan,
yeh zamaana nahi woh zamaana sajan
Us ko muddat hui sabr kartay hue,
aaj koo-e-wafaa se guzartay hue
Poochhh kar is gadaa ka thikaana sajan,
apne ‘Insha’ ko bhi dekh aana sajan
(Ibn-E-Insha from CHAAND NAGAR)