Saturday, 30 September 2017

Ehbaab ki surat ho keh Aghyaar ki surat, Har chehre main aati hai nazar yaar ki surat, best urdu ghazal, urdu best shairy, urdu best poetry by wasif,


Ehbaab ki surat ho keh Aghyaar ki surat,
Har chehre main aati hai nazar yaar ki surat,


Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon,
Hai is ke siwa kya tere deedar ki surat,

pehchan liya tujh ko teri sheesha gari se,
aati hai nazar fun se he funkaar ki surat

surat meri ankhon main samayegi na koi,
nazron main bassi rehti hai sarkaar ki surat

Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareeday
Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki surat

Wasif ki sar-e-dar pukara hai kisi ne
inkaar ki surat hai na izhaar ki surat

Saturday, 9 September 2017

Yeh jo aksar rulatey ho, Mohabbat yun nahi hoti, Mujhay har pal satatey ho, Mohabbat yun nahi hoti, Best urdu ghazal, urdu best poetry, urdu ghazal, urdu poetry,


Yeh jo aksar rulatey ho,  Mohabbat yun nahi hoti,
Mujhay har pal satatey ho, Mohabbat yun nahi hoti,


Mein jab thak haar kar mayous hojaun,
To phir khud hi aa kar mujhay manatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Nazar andaz kartey ho tum ashko ki rawani ko,
Khud hi mujh ko manatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Kabhi mujh pey mohabbat sey dil-o-jaan waar detay ho,
Kabhi easa jatatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Yeh tum umeed rakhtey ho ayan kardun mein sub jazbey,
Magar tum khud chupatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Meri janib jo aata hai,Wo rastaa bhool jatey ho,
Hamesha azmatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Kabhi to merey ghar key sub ujaloon ko bujhatey ho,
Kabhi jugnu le aatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,
Mohabbat!yun nahi hoti...