Sunday, 12 March 2017

Apne honton pe sajaana chahta hoon, Aa tujhe main gungunaana chahta hoon, love poetry, heart touching poetry, urdu best poetry


Apne honton pe sajaana chahta hoon,
Aa tujhe main gungunaana chahta hoon,


Koi aansuu tere daaman pr giraa kar,
Boond ko moti banaana chahta hoon,

Thak geya main karte karte yaad tujh ko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hoon,

Chhaa raha hai sari bassti main andhera,
Roshni ko, ghar jalaana chahta hoon,

Aakhri hichki tere zaanon pe aaye,
Maut bhi main shayerana chahta hoon..

Pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai, Naye parindon ko urrne main waqt to lagta hai, URDU BEST POETRY, LOVING POETRY,


Pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai,
Naye parindon ko urrne main waqt to lagta hai,


Jism ki baat nahin thi un ke dil tak jana tha,
Lambi doori tayy karne main waqt to lagta hai,

Gaanth agar lag jaye to phir rishte hon ya ddori,
Laakh karen koshish, khulne main waqt to lagta hai,

Hum ne ilaaj zakham-e-dil to dhoond liya lekin,
Gehre zakhmon ko bharnay main waqt to lagta hai..

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa, Aaa phir se mujhe chorr ke jaane ke liye aaa, Urdu Heart Touching poetry, best urdu ghazal, urdu sad ghazal,


Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa,
Aaa phir se mujhe chorr ke jaane ke liye aaa,


Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aaa,

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to,
Rasm-o-raaah-e-duniyaaa hi nibhaane ke liye aaa,

Kis kis ko batayen ge judayi ka sabbab hum,
tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aaa,

Ik umar se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom,
Ae rahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aaa,

Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden,
Yeh aakhri shamen bhi bujhaane ke liye aaa..

Tamaam umar jale aur raushni nahin ki, Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki, urdu best poetry, sad urdu poetry, heart touching poetry


Tamaam umar jale aur raushni nahin ki,
Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki,


Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain,
Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki,

Jo dil main aata geya sidq-e-dill se likhta geya,
Duaayen maangi hain main ne to shayari nahin ki,

Bass itna hai ke mera bakht dhal geya aur phir,
Mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki,

Meri sipaah se duniya larazne lagi hai,
Magar tumhari to main ne baraabri nahin ki,

Kuch is liye bhi akela sa ho geya hoon nadeem,
Sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki..

Tu mujh ko jo is sheher main laya nahin hota, Main be-saro-samaan kabhi ruswaa nahin hota, Ghazal Shayari, urdu poetry, best urdu poetry, dukhi poetry


Tu mujh ko jo is sheher main laya nahin hota,
Main be-saro-samaan kabhi ruswaa nahin hota,

Us ki to yeh aadat hai kissi ka nahin hota,
Phir is main ajab kya ke hamara nahin hota,

Kuch pairr bhi be-faiz hain is rahguzar main,
Kuch dhoop bhi aesi hai ke saaya nahin hota,

Khawbon main jo ik sheher bana deta hai mujh ko,
Jab aankh khuli ho to woh chehra nahin hota,

Kiss ki hai yeh tasveer jo banti nahin mujh se,
Main kis ka taqaaza hoon ke pura nahin hota,

Main sheher main kis shakhss ko jeene ki dua doon,
Jeena bhi to sab ke liye acha nahin hota..