Thursday, 23 February 2017

Zindagi ek chahat ka silsila hai Koi mel gia tu koi bechar gia, urdu sms poetry, best urdu poetry, urdu classic poetry,


Zindagi ek chahat ka silsila hai
Koi mel gia tu koi bechar gia


Jissy manga ta duawon mai
Wo kesi owr ko bina mangy mel gia

Aap ko bhool jawo'n umar guzarne ke baat hai Aap ko na ho yaqeen, yai owr baat hai, best urdu poetry, famous urdu poetry, heart touching poetry,


Aap ko bhool jawo'n umar guzarne ke baat hai
Aap ko na ho yaqeen, yai owr baat hai


Jab rahegi saans tab tak rahogy yaad
Yai saans toot jaye tu owr baat hai

Toot jaty hain sabhi reshty magar Dil se dil ka raabta apni jagah, urdu best poetry, urdu sms poetry,


Toot jaty hain sabhi reshty magar
Dil se dil ka raabta apni jagah


Dil ko hai tujh sai na melny ka yaqeen
Tujhe pa laine ki dua apni jagah

Ussey chaha bhi tu ezhaar na karna aya Kat gayi umar sari magar hamin pyar na karna aya, urdu judai poetry, best urdu poetry, urdu sms poetry, tanha urdu poetry,


Ussey chaha bhi tu ezhaar na karna aya
Kat gayi umar sari magar hamin pyar na karna aya


Us ne manga bhi kuch tu judayi mangi
Owr hamain inkaar na karna aya

Aaj rothay howey sajan ko bohat yaad keya apne ujray howey gulshan ko bohat yaad keya, urdu best poetry, sms poetry, sad urdu poetry, yaad poetry, tanha urdu poetry


Aaj rothay howey sajan ko bohat yaad keya
apne ujray howey gulshan ko bohat yaad keya

Aaj tootay howey sapnon ki bohat yaad ayee
aaj beetay howey sawan ko bohat yaad keya

Deedar-E-Yaar Aj Tak Mayassar Nahi Raha Muddat Hui Humara Koi Basar Nahi Raha, urdu poetry, best urdu poetry, sms poetry, heart touching urdu poetry,


Deedar-E-Yaar Aj Tak Mayassar Nahi Raha
Muddat Hui Humara Koi Basar Nahi Raha


Mara Hai Muflisi Ne Jo Khanjar Hayaat Pe
Aye Ishq Tere Tann Pe Koi Sar Nahi Raha...

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon, tanha urdu poetry, alone poetry, sad urdu ghazal, heart touching poetry, urdu nice poetry,


Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon


Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon..

Tuesday, 14 February 2017

Ab mai itna qareeb hon khud se Darmiyaan mere aur mere dil ke, Tum to kya... Dharkanein nahi haail Justaju ab kisi ki kya hogi,


Ab mai itna qareeb hon khud se
Darmiyaan mere aur mere dil ke


Tum to kya... Dharkanein nahi haail
Justaju ab kisi ki kya hogi

Khud mera dil hai hum nawaa mera
Mere labb pr mera fasaana hai

kanj-e-azlat nigaar khana hai
Ab kisi ki nahi talaash mujhe

ab kisi ki talab nahi mujh ko
Khoob ye mojizaa kya tum ne
Mujh ko mujh se mila diya tum ne

Wednesday, 8 February 2017

Facebook per jo tumhare liye gulnaar thi, mai tha wo jo alharr si baqol apke matyaar thi, mai tha, urdu subtitle poetry, facebook poetry, urdu poetry for facebook,


Facebook per jo tumhare liye gulnaar thi, mai tha
wo jo alharr si baqol apke matyaar thi, mai tha
فیس بُک پر جو تمہارے لئے گلنار تھی، میں تھا
وہ جو الہڑ سی بقول آپ کے مُٹیار تھی، میں تھا


Wo jo aamada.i.imdaad thay, har waqt, wo tum thay
Jis ko paison ki zarorat thi, jo nadaar thi, mai tha
وہ جو آمادہءِ امداد تھے، ہر وقت،وہ تم تھے
جس کو پیسوں کی ضرورت تھی، جو نادار تھی، میں تھا

Tum ko ye dekh ke mumkin hai pareshani si ho
wo jo maaqool se rishte ki talabgaar thi, mai tha
تم کو یہ دیکھ کے ممکن ہے پریشانی سی ہو
وہ جو معقول سے رشتے کی طلبگار تھی، میں تھا

Court Marriage ke fazail jo batai thay, wo tum thay
Ghar se bhaag ke jane pe bhi tayaar thi, mai tha
کورٹ میرج کے فضائل جو بتاتے تھے، وہ تم تھے
گھر سے جو بھاگ کے جانے پہ بھی تیار تھی، میں تھا

Apni begum ke mazalim pe jo nalaan thay, wo tum thay
jo tasalli tujhe deti thi, jo ghum khwaar thi, mai tha
اپنی بیگم کے مظالم پہ جو نالاں تھے، وہ تم تھے
جو تسلی تجھے دیتی تھی، جو غمخوار تھی، میں تھا