Monday, 12 October 2015

Bichraa Jo ik Baar To Milte Nahi Dekha Iss Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha, by perveen shakir


Bichraa Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Iss Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha,


Ik Baar Jis Se Chaat Gayi Dhoop Ki Khwahish
Phir Shaakh Pe Uss Phool Ko Khilte Nahi Dekha,

Yak-Lakht Gira Hai To Jarre Tak Nikal Aayin
Jis Perr Ko Aandhi Main Bhi Hilte Nahi Dekha

Kanton Main Ghiray Phool ko Choom Ayegi Lekin
Titlee Ke Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha

Kiss Tarah Meri Rooh Ko Harri Kar giya Aakhir
Woh Zeher Jis se Jism Main Khilte Nahi Dekha... 

Jo Adhuri Reh Gae Thi Woh Kahani Sochna, Beth Kar Tanhaa Batain Poraani Sochna, Tahnai Shayrii, Tanha poetry, alone poetry,


Jo Adhuri Reh Gae Thi Woh Kahani Sochna,
Beth Kar Tanhaa Batain Poraani Sochna..

Sarkon Pe Ghoomne Ko Nikle Hain Shaam Se, Aaseb Apne Kaam Se, Hum Apne Kaam Se, Tanhai Shayrii, Tanha poetry,


Sarkon Pe Ghoomne Ko Nikle Hain Shaam Se,
Aaseb Apne Kaam Se, Hum Apne Kaam Se...

Ehteyaatan Dekhta Chal Apne Saaye Ki Taraf, Iss Tarah Shayed Tujhe Ehsaas E Tanhai Na Ho, Tanha poetry, tanha shayri, urdu tanha poetry,


Ehteyaatan Dekhta Chal Apne Saaye Ki Taraf,
Iss Tarah Shayed Tujhe Ehsaas E Tanhai Na Ho

Monday, 5 October 2015

Yeh Samaan Bhi Badal Na Jaiye Kahin Sazish.e.Waqt Chal na jaiye Kahin, Dil Tere Hijar ki Tapish mai Kabhi Mom Bna Ke Pighal na jaiye Kahin, urdu best poetry, best ghazal


Yeh Samaan Bhi Badal Na Jaiye Kahin
Sazish.e.Waqt Chal na jaiye Kahin,


Dil Tere Hijar ki Tapish mai Kabhi
Mom Bna Ke Pighal na jaiye Kahin,

Yeh Fasana Meri Mohabbat Ka
Zeest Meri Niggal Na Jaiye Kahin,

Ghabraa ke iss Zamanay se
Raaz sab ke Ugal na Jaiye Kahin...