Aankh banjati hai saawan ki ghata shaam ke baad
Laut jata hai agr koi khafaa shaam ke baad
shaam tuk Qaid raha kurte hain dil k ander
durd ho jate hain sare riha shaam k baad
log thuk haar k su jatay hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera durd saha shaam k baad
shaam se pehle tuk laakh sulaay rakhein
jaag uth-ti hai mohabat ki ana shaam k baad
chand jub ru k sitaroon se galay milta hai
ik ajab rung ki hotee hai fiza shaam k baad
hum ne tanhaai se pocha k milo gi kub tuk
us ne be-chaini se forun hee kaha shaam k baad
mae agr khush bhi rahon phir bhi mere seene mein
su-gawari koi roti hai sada shaam k baad
laur aatee hai meri shub ki ebadut khali
jane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam k baad
koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad
maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad