Saturday, 28 March 2015

Is aas me chala jaunga main ye jahan chor kar Ke shayad mera marna hi kuchh kaam aayega, urdu poetry


Is aas me chala jaunga main ye jahan chor kar
Ke shayad mera marna hi kuchh kaam aayega


Shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar
Jis pal tere paas meri maut ka paigam aayega..!

Thursday, 26 March 2015

Woh khush hai par shayad hum se nahi Woh naraz hai par shayad hum se nahi, urdu ghazal, best urdu poetry


Woh khush hai par shayad hum se nahi
Woh naraz hai par shayad hum se nahi


Kon kehta hai unke dil me mohabbat nahi
Mohabbat to hai par shayad humse nahi.!!

Sunday, 22 March 2015

Tanha Sanso Ko 1 Yad Ki ZArurat Hogi Dil Ki Kasti Ko Ek Kinare Ki ZArurat Hogi, urdu poetry, urdu shairii


Tanha Sanso Ko 1 Yad Ki ZArurat Hogi
Dil Ki Kasti Ko Ek Kinare Ki ZArurat Hogi


Kya Sath Rahoge Aap Us Din
Jis Din Hame Ek Sahare Ki Zarurat Hogi.

Friday, 13 March 2015

Na jaane kyun mein tujh se kuch zyada rootha karti hoon, Teri doori seh jaaye is ke liye dil ko apne manaya karti hoon, urdu ghazal, heart touching poetry


Na jaane kyun mein tujh se kuch zyada rootha karti hoon,
Teri doori seh jaaye is ke liye dil ko apne manaya karti hoon

Kabhi to tujhe jaise bahut hi bura keh leti hoon per dost jab
Teri dosti ki misaale yad aati hai tujhe duaein diya krti hoon.

Juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha wo mujh se intehai khush, khafa hone se pehle tha, bewafa poetry, urdu bewafa ghazal, best urdu poetry


Juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha
wo mujh se intehai khush, khafa hone se pehle tha


Baarish Se kuch bunde Maang Lenge, Chand Se Chandni udhar Maang Lenge, barish poetry, urdu barish shairi.


Baarish Se kuch bunde Maang Lenge,
Chand Se Chandni udhar Maang Lenge,

Agar Teri Dosti Naseeb Hui Aye Dost,
To Khuda Se Ek Aur Zindagi Maang Lenge.

Wednesday, 11 March 2015

Jafayen bohat ki Bohat zulm dhaye Kabhi ik nighaye karam iss taraf bhi, urdu image poetry


Jafayen bohat ki Bohat zulm dhaye
Kabhi ik nighaye karam iss taraf bhi


Zamane ko apna bana kar tu daikha
Kabhi hum ko bhi azma kar tu daikho

Saturday, 7 March 2015

Soch Jitni Jameel Hoti hy, Roshni Ki Kafeel Hoti Hy, urdu poetry, best poetry, sms poetry,


Soch Jitni Jameel Hoti hy,
Roshni Ki Kafeel Hoti Hy.


DAM NIKAL JAYE YEH AGAR SOCHAI'N,
UMAR KITNI QALAAL HOTI HY.

Aa He Jaati Hy Yaar Ki Khushbu,
Jab Tabiyat Aleel Hoti Hy.

Jurm Jab FarzKar Liya Jaye,
Behs Sab bE'Dallel Hoti Hy.

Haaye Us Mah'Jabee'n Ki Aankh "ADDAM"
jaise Naghmay Ki Jheel Hoti Hy!!

Chasham E Saaqi Se Talab Kar K Gulaabi Doray, Dil K Zakhmo'n Ko Kahe'n Byth K See Lyta Hoon, urdu shairi, urdu ghazal, best poetry


Chasham E Saaqi Se Talab Kar K Gulaabi Doray,
Dil K Zakhmo'n Ko Kahe'n Byth K See Lyta Hoon


Saaghar E Ma'y To Barri Cheez Hai, Ek Ne'mat Hai,
Ashak Bhi Aankh Me Bhar Aaye'n To Pee Lyta Hoon!!

Monday, 2 March 2015

Chupke chupke raat din aansuu bahanaa yaad hai Ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai, urdu best ghazal


Chupke chupke raat din aansuu bahanaa yaad hai
Ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai


Tujhase milate hi vo kuch Bebaak ho jaanaa meraa
Aur teraa daaton mein vo Ungalii dabaanaa yaad hai

Chori Chori ham se tum aa kar mile the jis Jagah
Muddatein Guzarin par ab tak wo Thikaanaa yaad hai

Khinch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan
Aur Dupatte se teraa vo Moonh Chhupaanaa yaad hai

Do-pahar ki dhuup mein mere bulaane ke liye
Vo teraa kothe pe nange paaoon aanaa yaad hai

Baahazaaraan iztiraab-o-sad-hazaaraan ishtiyaaq
Tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai

Jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa
Aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai

Tujh ko jab tanhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz
Hal-e-dil baatoon hii baatoon mein jataanaa yaad hai

Jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa
Sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai

Gair kii nazaroon se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf
Vo teraa chorii chhipe raatoon ko aanaa yaad hai

Aa gaya gar vasl kii shab bhii kahiin zikr-e-firaaq
Vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai

Dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se
Jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai

BeruKhii ke Saath sunaanaa Dard-e-Dil kii dastaan
Aur teraa hathoon mein vo kangan ghumaanaa yaad hai

Vaqt-e-RuKhsat Alvidaa kaa Lafz Kahane ke liye
Vo Tere Sukhe Laboon kaa thar-tharaanaa yaad hai

Baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe
Aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai