Wednesday, 25 February 2015

Likh kar saari raam kahani bhejoon ga, Kaaghaz per paani hi paani bhejoon ga, urdu ghazal, best ghazal


Likh kar saari raam kahani bhejoon ga,
Kaaghaz per paani hi paani bhejoon ga,


Shayed ab woh mujh ko na pehchaan sake,
Main apni tasveer purani bhejoon ga,

Khul jayen ge saare raste mehlon ke,
Ab ke aesi aik nishaani bhejoon ga,

Bhejoon ga main yaad ki chitthi tohfe main,
Aankhen, baarish, aur jawaani bhejoon ga,

Kesi kesi kasme khaayi thieen us ne,
Agle khat main yaad’dihaani bhejoon ga..

Saturday, 21 February 2015

Bheer mein ek ajanabi ka saamana achha laga sabase chhupakar wo kisi ka dekhana achha laga, Urdu Poetry, best ghazal


Bheer mein ek ajanabi ka saamana achha laga
sabase chhupakar wo kisi ka dekhana achha laga


suramaai aankhon ke neeche phool se khilane lage
kahate kahate kuch kisi ka sochana achchha laga

dil mein kitane ahad baandhe the bhulaane ke liye
wo mila to sab iraade todana achchha laga

dushman-e-jaan hai par 'amajad' main bura kaise kahu
jab bhi aaya saamane wo bewafa achchha laga

Wednesday, 18 February 2015

Bohat muddat se aesa hai, Ke tum khamosh rehte ho, Koi gehra hai gham shayed, Jisse chup chaap sehte ho, urdu best ghazal


Bohat muddat se aesa hai,
Ke tum khamosh rehte ho,


Koi gehra hai gham shayed,
Jisse chup chaap sehte ho,

Yoon hi chalte huye tanha,
Koi ghamgeen sa naghma,

Tum aksar gungunaate ho,
Doraan-e-guftguu joon hi,

Milain nazron se jab nazren,
To baatain bhool jate ho,

Kisi gumsum si haalat main,
Ya phir baarish ke mausam main,

Fakat itna hi kehte ho,
Udaasi be-wajah si hai,

Bohat bojhal tabiyat hai,
Bhala sachh kyun nahin kehte,

Tumhe mujh se mohabbat hai,
Tumhe mujh se mohabbat hai..

Friday, 13 February 2015

Udaas Dil ki Viraniyon Mein Bikher Gaye Hain Khuwab Saray Ye Meri Basti Se Kon Guzra Nikher Gaye Hain Gulaab Saray Na Jane Kitni Shikayatein Then Na Jane Kitne Gilay Thy un Se


Udaas Dil ki Viraniyon Mein
Bikher Gaye Hain Khuwab Saray
Ye Meri Basti Se Kon Guzra
Nikher Gaye Hain Gulaab Saray
Na Jane Kitni Shikayatein Then
Na Jane Kitne Gilay Thy un Se
Jo un ko Dekha To Bhool Betha
Sawaal Saray Jawaab Saray

Kafi arsa beet gaya hai jane ab wo kesa hoga? Waqt ki saari karvi batain chupke chupke kehta hoga Ab bhi bheegi barish mai wo bin chattri ke chalta hoga Mujhse bichre arsa beeta ab wo kis se larta hoga? best ever urdu ghazal collection, best urdu poetry


Kafi arsa beet gaya hai jane ab wo kesa hoga?
Waqt ki saari karvi batain chupke chupke kehta hoga
Ab bhi bheegi barish mai wo bin chattri ke chalta hoga
Mujhse bichre arsa beeta ab wo kis se larta hoga?


Gaye dinon ka suragh le kar, kidar say aaya kidear geya woh, Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhe to hairaan kar geya woh, urdu best poetry,ghazal


Gaye dinon ka suragh le kar, kidar say aaya kidear geya woh,
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhe to hairaan kar geya woh,


Bas aik moti si chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar,
Sitara-e-sham ban ke aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr geya woh,

Khushi ki rut ho ke gham ka mausam, nazar usse dhoondti hai har damm,
Woh boo-e-gul tha ke naghma-e-jaan, me to dil mein utar geya woh,

Nah abb woh yaadon ka charhta darya, na abb fursaton ki udaas barkha,
Younhi kasak hai zara si dil mein, jo zakhm gehra tha bhar geya woh,

Shikasta paa rah mein khara hoon, gaye dinon ko bula raha hoon,
Jo qaafla mera humsafar tha, misal-e-gard-e-safar geya woh,

Woh meh’kade ko jagane wala, who raat ki neend urrane wala,
Yeh aaj kya uss ke jee main aayi, ke shaam hote hi ghar gaya woh,

Woh hijr ki raat ka sitara, who humnafas, hum’sukhan hamara,
Sada rahey naam uska pyara, suna hai kal raat mar gaya woh,

Woh jiss kay shaane pe haath rakh kar, safar kiya tu ne manzilon ka,
Teri gali say na jane kyon aaj, sir jhukaaye guzar geya woh,

Woh raat ka be-nawa musafir, woh tera shayar, woh tera Nasir,
Teri gali tak to jaate dekha, phir na jane kidar geya woh..

Wednesday, 4 February 2015

Aflas ke es basti me kon kis ka humsafar hai, Har sha’h apne jeene ke justujoo me magan hai,written by pakeeza rizvi, urdu best poetry


Aflas Ke Basti...(written by pakeeza rizvi)

Aflas ke es basti me kon kis ka humsafar hai,
Har sha’h apne jeene ke justujoo me magan hai,

Kae’n raaz chupe hain kae’n raaz fishan hain,
Har zarra kainat ke haqeqat ka nisha’n hai,

Juzz juzz me jawaz hai takhleeq-e-kainat ka,
Qatre qatre ke bhi apne aya’n dasta’n hai,

Chup chap se es nagri me shoor buhat hai,
Adawato’n ka raj hai mohabbaton ka zoor hai,

Qadam qadam pe thokar hai dhoke hain ruswae hai,
Andhero ke adalat hain ujalon ke shunwae hai,

Kyun dhondte phirte ho jalwe khudae ke,
Har bond me zikar-e-khuda ashkar hai,

Qull ke talash hai jo tum ko jan lo,
Har baa’b se munsalik kaen asbak hain,

Khamosh samandar hai bolte kahani hai,
Har rasta manzil hai har manzil fani hai,

Waqt ke badalne ka ajab he andaz hai,
Har urooj ko zawal bhi lajawab hai,

Har ek sha’h ka doje se jo raabt dikhta hai,
Koi saaz hai mila jull'ah pehchan purani hai,

Aflas ke es basti me kon kis ka humsafar hai,
Har sha’h apne jeene ke justujoo me magan hai,