Monday, 29 September 2014

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maa Ab mere bagheir eid kese manaogi maa, eid poetry for all perdesi brothers


Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maaAb mere bagheir eid kese manaogi maa


Sab ke bete jab aainge Eid parh ke
Tum darwaze mai khari takti reh jaogi maa

sawayyanjab bantnay lagogi mohallay main
Tumhari palkein aansuon se bheeg jaingi maa

Sham tak bhi jab na pohanch paonga ghar
Tere dil ki dharkan jese ruk si jaigi maa

Eid parh ke jab wapis aaonga duty pe
Tassalli ye dil ko de kar sojaonga maa

EID KA KYA HAI, AGLAY SAAL PHIR AJAIGI MAA

Saturday, 27 September 2014

Sunday, 21 September 2014

Ajab he dhang hain dunya ke karobaron ke, Do he pal me bigarte hain banane wale, Urdu image poetry, Udas poetry


Ajab he dhang hain dunya ke karobaron ke,
Do he pal me bigarte hain banane wale,


Kon deta hai sahara dobte kashte ko,
Doob he jate hain yahan to bachane wale,

Muqadaron ke khel me sikandaron ke dor me,
Bade mushkil se jeettay hai harne wale,

Sodagery kamal ke karte hain ye tajir,
Do he sikhon me bikte hain bechne wale,

Barbad karne ke zara had to dekheye,
Bade khuloos se milte hain lotne wale,

Ajab he dhang hain dunya ke karobaron ke,
Do he pal me bigarte hain banane wale,

Friday, 19 September 2014

Usne Kaha Kon Ho Tum, Maine Kaha Hasrat Teri…! urdu image poetry


Usne Kaha Kon Ho Tum…Maine Kaha Hasrat Teri…!


Usne Kaha Pagal Ho Kya…?
Maine Kaha Aisa Hi Sahi…!

Usne Kaha Karte Ho Kya…?
Maine Kaha Ibaddat Teri…!

Usne Kaha Chahte Ho Kya…?
Maine Kaha Mohbbat Teri…!

Usne Kaha Pachtao Ge…?
Maine Kaha Kismat Meri

Tuesday, 16 September 2014

parindon ke chechahat se hoa sawera, umeedo ke karwa ne naya saaz hai bikhera, Urdu Image Poetry


parindon ke chechahat se hoa sawera,
umeedo ke karwa ne naya saaz hai bikhera,


koi kho gaya udasion ke baste me,
kisi ka hoa tanhaeon me basera,

ajab he dhang dekhata hai ye muqadar bhi,
kahen dukhun ke dole kahen khusyon ka tola,

andaz alag alag he sahe,
sikander hai har ek apne waqt ka..

Friday, 12 September 2014

zindagi se yehi gila ha mujhe tu barri dair se mila ha mujhe, Urdu Romanting Poetry


zindagi se yehi gila ha mujhe
tu barri dair se mila ha mujhe

tuu mohabbat se koi chaal tu chal
haar janay ka hosla ha mujhe

hamsafar chahiyee hajoom nahin
ek musafir bhi qaafila ha mujhe

Acha khasa baithay baithay gum ho jata hon, Ab main aksar main nahin rehta tum ho jata hon, Urdu Image Poetry, Best image poetry


Acha khasa baithay baithay gum ho jata hon....
Ab main aksar main nahin rehta tum ho jata hon

Tuesday, 9 September 2014

Wo Husn-e-Mujasim kamal uski ankhen, Sarapa mohabat jamal uski ankhen, Urdu Image Poetry,


Wo Husn-e-Mujasim kamal uski ankhen,
Sarapa mohabat jamal uski ankhen.


Jab bhi main puchun sawal us se koi,
Mujhey roz deti hain taal uski ankhen.

Jo bechay to dono jahan de k le lon,
Wo chehra wo zulfen wo gal, uski ankhen.

Agar koi pochay k dunya men kia hai,
To de ga zamana misal uski ankhen....

With the sinking heart he compiled, All the memories that are scattered behind, English Image Poetry


With the sinking heart he compiled,
All the memories that are scattered behind,


He resigned from his past and assign him for the mankind,
Jigging in the road of prosperity and snoop in the ways of wind,

It was just the end of autumn and start of spring in his life,
When he taken over all his griefs and closed his whole pain file,

With the gold spoon he born and still he is Mr. stubborn,
His long hairs talking with the cool breeze,

And his modesty appeasing him for the destiny,
He is looking like a big conqueror who gallantry won the inner war,

Defeated his tearful yesterday,
He himself defeat and won,

With the gold spoon he born and still he is Mr. stubborn,
His journey is not about what he lose but all about what he won,

He is divers from others,
Jolly man with a black beard,

Just move his wooden stick and makes everyone smile,
Like a magician change the mood of the lonely exiles,

The sun shines with him and he shines with his style,
With the gold spoon he born and still he is Mr. stubborn,

Apny Jesi He Kisi Shakal Me Dhalain Gay Tumhain, Hum Bigarr Jaye'n Gay Itna, K Bna Lain Gay Tumhain, Urdu Image Poetry


Apny Jesi He Kisi Shakal Me Dhalain Gay Tumhain,
Hum Bigarr Jaye'n Gay Itna, K Bna Lain Gay Tumhain.


Mujh Me Pewast Ho Tum Yu'n K Zamanay Waly,
Meri Mitti Se Mere Baad Nikalain Gay Tumhain.

Faisla Kr He Liya Hum Ny Agar Mitnay Ka,
Kaasa E Jism Me Thorra Sa Bacha Lain Gay Tumhain.

Janay Kya Kuch Ho Chhupa Tum Me, Muhabbat K Siwa,
Hum Tasalli K Liye Phir Se Khangaalain Gay Tumhain.

Yeh Zamee'n Kuch B Nhe, Yeh Jaha'n Kuch B Nhe,
Hum Agar Chahain To Ek Jastt Me Ja Lain Gay Tumhain....

Sunday, 7 September 2014

kis qadar zulm dhaya karte ho ye jo tum bhool jaya karte ho, Best Urdu Poetry


kis qadar zulm dhaya karte ho
ye jo tum bhool jaya karte ho 


kis ka ab haath rakh ke seeny par
dil ki dharkan sunaya karty ho

hum jaha chaye peeny jate thy 
kya wahan ab bhi aaya karty ho

kon hai ab k jis ke chehry par 
apni palko ka saaya karte ho 

kyun mere dil me rakh nahi dete 
kis leye gham uthaya karte ho 

phone par geet jo sunatety thy
ab wo kis ko sunaya karty ho 

akhri khat me us ne likha tha 
tum mujhe yaad aya karty ho

Shehar ujra ho tu abaad karoon! Jo na bhoolay usay kya yaad karoon, Urdu Heart Touching Poetry, Image Poetry


Shehar ujra ho tu abaad karoon!
Jo na bhoolay usay kya yaad karoon


Sari chezain hi badal k reh jain 
Ik hunar aisa ejaad karoon

Meray lafzoon say nikal jaye asar
Koi khawaish jo teray baad karoon

Bheek lanat ha milay ya na milay
Kun main rusawai faryaad karoon

Koi us ankh pa shayad utray
Roz ik khawab ko azaad karoon

Ye tu ha Khel ka Hissa Amjad
Kis liye shikwa be daad karoon

Suno Mohabbat dukh nhi deti, Agr be gharz ho jazba, Urdu Image Poetry, Bewafa Poetry


Suno Mohabbat dukh nhi deti,
Agr be gharz ho jazba,
Agr manzil bany rasta,
Agr chahat k pardy me,
koi lalach na ho lipta,
Agr tm sonp do sab kch,
silay me kch nhe mango,
agr sauda na ho koi,
mohabat bas mohabat ho,
to phr ye sukh hi deti hai,
kabi b dukh nhi deti,
Mohabat dukh nhi deti..


Saturday, 6 September 2014

Shama ghazal ki lu ban jaye,Aisa misra ho tu kaho Ik ik harf main soch ki khusboo,dil ka ujala ho tu kaho


Shama ghazal ki lu ban jaye,Aisa misra ho tu kaho
Ik ik harf main soch ki khusboo,dil ka ujala ho tu kaho


Raz e mohabbat tu kehnay walay lakhoon miltay hain
Raz e mohabbat rakhnay wala Hum say dekha ho tu kaho

Kon gawahi dey ga uth kar jhooton ki ish basti main 
Such ki qeemat dey saknay ka tum main yaara ho tu kaho

Waisay tu har shaks k dil main ik kahani hoti ha
Hijar ka lawa, Gham ka saliqa,Dard ka lehja ho tu kaho

AMJAD saab ap nay b tu duniya ghoom k dekhi ha
Aise aankhain ha tu batao, Aisa chera ha tu kaho

Friday, 5 September 2014

Nazar se dil main samaany walay, meri mohabat tere liye hai, Urdu Romantic Poetry,


Nazar se dil main samaany walay, 
meri mohabat tere liye ha


Wafa ki dunya main aany waly, 
wafa ki dolat tere liye ha.

Khari hun main tere raastay main, 
jawan umeedon k phool leker

Mehakti zulfon, 
behakti nazron ki garm jannat tere liye ha

Siwa teri arzu k is dil main koi bhi arzu nahin ha
Har aek jazba har aek dharkan har aek hasrat tere liye ha.

Meray khyalon k narm podon se jhaank kr muskrany waly
Hazar khwabon se jo saji ha wo ik haqiqat tere liye ha.

Bhool sakta ha bhala kon ye payari ankhen Rang main doobi hui neend se bhaari ankhen, Alone Poetry, yad poetry


Bhool sakta ha bhala kon ye payari ankhen
Rang main doobi hui neend se bhaari ankhen.


Meri hr soch ne hr sans ne chaaha ha tumhen
Jb se dekha ha tumhen tb se saraaha ha tumhen.

Bs gayi hain meri ankhon main tumhari ankhen.
Tum jo nazron ko uthao to sitaary jhuk jaen

Tum jo palkon ko jhukao to zamany ruk jaen.
Kyun na bn jaen un ankhon ki pujaari ankhen.

Jaagti raaton ko sapnon ka khazana mil jaye
Tum jo mil jao to jeeny ka bahaana mil jaye.

Apni qismat pe karen naaz hamari ankhen.

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai, Urdu Loving Poetry


Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai
Jo bhyed umer’on sey chupaye huay thay
Mera khayal hai ab khul gaya hai
Meray mathey pey jo daag-e-ruswai tha
Ab wo dhul gaya hai
Lagta hai youn aaj ‘Gul’ jesay
Zulm ka soraj dhal gaya hai 

Wednesday, 3 September 2014

Chalo Choro Janey Do Iss Shikasta DIL Ki Aahon Ko, Agar Kisi Ko Ehsas Hota To Hum Bikharte Hi Kun, Urdu Best poetry, Urdu two lines poetry


Chalo Choro Janey Do Iss Shikasta DIL Ki Aahon Ko,
Agar Kisi Ko Ehsas Hota To Hum Bikharte Hi Kun.

Kisi ko Mohabbat ki sachai maar dalegi Kisi ko Mohabbat ki gehrai maar dalegi, Urdu Sad Poetry, Urdu Heart Touching Poetry


Kisi ko Mohabbat ki sachai maar dalegi
Kisi ko Mohabbat ki gehrai maar dalegi

Kar ke Mohabbat koi nahi bacheyga
Or jo bachega usay tanhai maar dalegi 


Monday, 1 September 2014

Aik qatra malaal bhi boya nahin gaya, Woh khauf tha ke logon se roya nahin gaya, Urdu Best Ghazals, Urdu Poetry, Urdu picture poetry, Urdu shairi


Aik qatra malaal bhi boya nahin gaya,
Woh khauf tha ke logon se roya nahin gaya,
Yeh sach hai ke teri bhi neendain ujarr gayin,
Tujh se bichar ke hum se bhi soya nahin gaya,