Dil Mein Chubhay Na Jin K Kabhi Khaar Zeest K
Kia Un Pe Aashkar Hon Asraar Zeest K
Seekha Nahi Jinoh Ne Saliqa Kalaam Ka
Taleem Karne Aaye Hein Atwaar Zeest K
Zaiba Thi Jin Ko Zeest Jahan Se Guzar Gaye
Hum Muft Mein Huey Hein Sazwaar Zeest K
Q Hum Pe He Tamaam Hui Gham Ki Naimatein?
Kia Ik Humi Huey Thay Gunehgaar Zeest K?
Dekhi Hai Hum Ne Ronaq-e-Nairangi Hayaat
Manzar Badal Chukey Hein Kai Baar Zeest K
Chakhi Hai Hum Ne Muot Ki Lazzat Hazaar Baar
Guzarey Hein Hum Pe Hadsay Do Chaar Zeest K
Kaar-e-Hayat Reshmi Dhago'n Ka Khail Tha
Uljhay To Phir Sulajh Na Sake Taar Zeest K
Ik Aik Saans K Liy Kaasa Liye Phirein
Aise Bhi Hum Nahi Hein Talabgaar Zeest K
Rangeen Hai Hamare Lahoo Se Nissab-e-Zeest
Unwaa'n Raqam Kiye Hein, Sar-e-Daar Zeest K
Ab Aas Hai Na Koi Tamnna Na Justajoo
Baqi Nahi Hein Zeest Mein Aasaar Zeest K
Kia Zindagi Ka Rung Ho Janey Hamare Baad
Hum Aakhri Amee'n Hein , Tarehdaar Zeest K