Thursday, 24 September 2020

Har ek baat pe kehte ho tum K ‘tou kya hai’ ? Tumhee kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? by mirza ghalib, urdu best ghazal, top most urdu ghazal

 



Har ek baat pe kehte ho tum K ‘tou kya hai’ ?

Tumhee kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?


Na sho’le mein yeh karishma na barq mein ye ada

koi bataao K woh shoKH-e-tund_Khou kya hai ?


Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_sukhan tumse

Wagarna Khauf-e-bad_aamozi-e-adou kya hai ?


Chipak raha hai badan par lahou se pairaahan

Hamaari jeb ko ab haajat-e-rafou kya hai ?


Jalaa hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga

kuredate ho jo ab raakh, justjou kya hai ?


Ragon mein daurte phirne ke ham nahe qaayal

Jab aankh hi se na Tapka to phir lahou kya hai ?


Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez

Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkabou kya hai ?


Piyoon sharaab agar Khum bhi dekh loon do chaar

Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?


Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee

To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?


Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata

Wagarna shahar mein ‘Ghalib’ keh aabrou kya hai ?


(By: Mirza Ghalib)

Monday, 10 August 2020

Jab tera hukm mila tark-e-mohabbat kardi, Tujhse kis tarah main izhar-e-tamanna karta, Lafz sujha to muani ne baghavat kardi, By Ahmed Nadeem Qasmi, urdu famous poetry, best urdu poetry, urdu ghazal

 

Jab tera hukm mila tark-e-mohabbat kardi 
Dil magar is pe vo dharka ki qayamat kardi 


Tujhse kis tarah main izhar-e-tamanna karta 
Lafz sujha to muani ne baghavat kardi 

Main to samjha tha keh Laut aate hain jaane vaale
Tu ne jakar to judaai meri qismat kardi 

                                                 Tujh ko puuja hai, kii asnam-parasti ki hai 
Main ne vahdat ke mafahim ki kasrat kardi 

                                            Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar aata hai 
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kardi 
            
                                        Pouchh baitha huun main tujh se tere kooche ka pata 
Tere halat ne kaisi teri surat kardi 

                                                Kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala 
                                                    Raakh kis ne tere sone ki si rangat kardi 

Monday, 13 July 2020

Hai vitamin ki kami Ashiq mein tere is qadar, urdu funny poetry, mazahiya shairi, best poetry, विटामिन-डी की कमी, लक्षण और उपाय


Hai vitamin ki kami Ashiq mein tere is qadar
Us ko kuchh dikhta nahi tere nazar aane ke baad 


khaata hai do capsule aur vo bhi is tarteeb se 
Ek tere aane se pehle aur ek tere jaane ke baad 

Dil ki baat kya kahiye dil ajeeb basti hai Roz ye ujadti hai aur roz basti hai, urdu best ghazal, heart touching poetry, urdu shairy,


Dil ki baat kya kahiye dil ajeeb basti hai
Roz ye ujadti hai aur roz basti hai 


Pehle apni halat pe hans le khud hi jee bhar ke
Dekh kar mujhe duniya tanz se jo hansti hai 

Aaj ka zamana bhi vaah kya zamana hai
Zindagi bohut mahngi aur maut kitni sasti hai 

Us se door kya hogi tirgi zamane ki
Shama raushni ko khud aaj jab tarasti hai 

Sunday, 5 July 2020

Aandhiyan gham ki chalein aur karb-baadal chha gae, Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae, Ghazal by aabida uroj, rdu ghazal, best urdu poetry, heart touching shayri, sad urdu ghazal,


Aandhiyan gham ki chalein aur karb-baadal chha gae
Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae 


Kirchi kirchi Khvahishein ankhon mein chubh kar reh gaein 
Zard mausam aas ki haryaliyon ko kha gae 

Main ki jisne har saubat muskura kar jhel li 
Manzilein aaiin to kyun ankhon mein aansu aa gae 

Tere naa aane ke dukh mein shiddatein phulon ne kiin
Waqt se pehle he sab gajre mire murjha gae 

Qaht jazbon ka para, veeraan se hain dil ke nagar 
Shahr par aaseib shayad hijr ke mandla gae 

Daava chahat ka nahi par jab use socha 'uruj
Phuul khushbu rang taare aankh mein lehra gae

Thursday, 4 June 2020

Tum nahi aae thay jab tab bhi to maujood thay tum, Aankh mein nuur ki aur dil mein lahu ki surat, urdu poetry, by Ali Sardar Jafri, best urdu ghazal,


Tum nahi aae thay jab tab bhi to maujood thay tum
Aankh mein nuur ki aur dil mein lahu ki surat 

Dard ki lau ki tarah pyaar ki khushbu ki tarah
Bevafa vadon ki dildari ka andaaz liye 

Tum nahi aae thay jab tab bhi to tum aae thay 
Raat ke seenay mein mahtab ke khanjar ki tarah 

Subh ke haath mein khursheed ke saghar ki tarah 
Shakh-e-Khun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah 

Tum nahi aaoge jab tab bhi to tum aaoge
Yaad ki tarah dharakte hue dil ki surat 

Ghum ke paimana-e-sar-shar ko chhalkate hue 
Barg-ha-lab-o-rukhsar ko mahkate hue 

Dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue 
Zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang 

Shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang 
Roz laegi saba ku-e-sabahat se payam 

Roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq 
Aao aane ki karein batein ki tum aae ho 

Saturday, 23 May 2020

Aey dil pehle bhi tanha thay, Aey dil ham tanha aaj bhi hain, Aur un zakhmon aur daghon se ab apni batein hoti hain, Urdu Ghazal, best poetry by faruqi, sad urdu ghazal


Aey dil pehle bhi tanha thay, Aey dil ham tanha aaj bhi hain
Aur un zakhmon aur daghon se ab apni batein hoti hain 


Jo zakhm ke surkh gulab hue, jo daagh ke badar-e-munir hue 
Is tarha se kab tak jiina hai, main haar gaya is jeene se 

Koi abr Ude kisi qulzum se ras barse mire virane par 
koi jagta ho koi kudhta ho mire der se vapas aane par 

Koi saans bhare mire pahlu mein koi haath dhare mire shane par 
Aur dabe dabe lehje mein kahe tum ne ab tak bade dard sahe 

Tum tanha tanha jalte rahe tum tanha tanha chalte rahe 
Suno tanha chalna khel nahin, chalo aao mire ham-rah chalo

Sunday, 10 May 2020

Che da cha yaad ki me aksar khpala naama hera she, Owaya sa rangi zama na ba agha hera she, Israr Atal Poetry, Israr Atal, Pashto Poetry By Israr Atal, Heart Touching Poetry by Israr Atal,


Che da cha yaad ki me aksar khpala naama hera sheOwaya sa rangi zama na ba agha hera she,


Zu khu har wakht yadawum da kaleemy pa shaanti
Marra nu sang ba musalman na kaleema hera she,

Stargi mi otarrai pa shart ba de kuse ta raazam
Yaqin mi na di ka pa marg mi sta kusa hera she,

La daghe yari pa spin makho aitbaar na kawum
Sa muda pas tri na aksar karri wada hera she,

Koshish kawoma che sta stargi aw labaan her krrama
Grana da grana ka mekhwar na mekhada hera she,

ATALA'' za che ye pa khob ke hum tawaf kawuma
Pa wikha sanga ba la maa agha ka'aba hera she.

Sunday, 3 May 2020

Ye na thi hamari qismat keh visal-e-yar hota agar aur jeetay rahte yahi intizar hota, urdu poetry, mirza ghalib shairi, urdu best ghazal


Ye na thi hamari qismat keh visal-e-yar hota
agar aur jeetay rahte yahi intizar hota

Tere va.ade par jiye ham to ye jaan jhut jaana
ki Khushi se mar na jaate agar e'tibar hota

Koi mere dil se puchhe tere tir-e-nim-kash ko
Ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota

Ye kahan ki dosti hai keh bane hain dost naseh
koi charasaz hota koi ġham-gusar hota

Tuesday, 28 April 2020

Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai, Hum ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai, by hasrat mohani, urdu ghazal, best urdu poetry


Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Hum ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai 


Baar baar uThna usi janib nigah-e-shauq ka 
Aur tera ghurfe se vo ankhen larana yaad hai 

Tujh se kuchh milte he vo bebak ho jaana mira 
Aur tera danton mein vo ungli dabana yaad hai 

Jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira 
Aur tera Thukra ke sar vo muskurana yaad hai 

Dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se 
Jab mana lena to phir khud routh jaana yaad hai 

ChorI chori hum se tum aa kar mile the jis jagah 
Muddaten guzrein par ab tak vo thikana yaad hai