Wednesday, 18 March 2020

Muddat ke baad lot ke aya hun gaon mai Maazi simat ke aa gaya bargad ki chaaon mai, Hassan Fatehpuri ghazal, Best Urdu Ghazal, Urdu poetry, Roman poetry,


Muddat ke baad lot ke aya hun gaon mai
Maazi simat ke aa gaya bargad ki chaaon mai,


Insaaniyat ka saans bhi lena muhaal hai
Ye kisne Zehe ghol diya hai hawaoon mai,

Hum log nasl-e-Aadam o Hawwa hain sliye
Aata hai lutf aaj bhi humko khataaon mai,

Shayad kisi ne yaad kiya hai abhi mujhe
Paheli hui hai Ishq ki khushbu fazaon mai

Barsaat ho rahi hai magar tu nahi mila
Tasveer teri dhoond raha hun ghataon mai

Duniya ki mushkilat ki kyu fikar ho Hassan
Hamne sukoon paya hai Maa ki duaaon mai

Tuesday, 3 March 2020

Nafraton Ke Teer Khaa Kar, Dosto’n Ke Sheher Mein, Hum Ne Kis Kis Ko Pukaara, Yeh Kahani Phir Sahii


Nafraton Ke Teer Khaa Kar, Dosto’n Ke Sheher Mein,
Hum Ne Kis Kis Ko Pukaara, Yeh Kahani Phir Sahii

Tuesday, 4 February 2020

Tumhe jab mile kabhi fursatein mere dil se bojh utar do Mai bohat dino se udas hoon mujhe koi sham udhar do, urdu romantic ghazal, urdu best poetry, 14 february ghazal, valentines day potery in urdu,


Tumhe jab mile kabhi fursatein mere dil se bojh utar do
Mai bohat dino se udas hoon mujhe koi sham udhar do


Mujhe apne roop ki dhoop do keh chamak sakein mere khado khaal
Mujhe apne rung mai rung do, mere sare rung utar do

Wednesday, 1 January 2020

Naya saal aaya naya saal aaya, Umidon ka dil men diya jagmagaya, Happy New year 2020, Wish you a happy new year, naya saal mubarak ho

Naya saal aaya naya saal aaya
Umidon ka dil men diya jagmagaya 


nae saal ka ham ko paigham kya hai 
nae saal men ab naya kaam kya hai 

purana tarīqa badalnā hai ham ko 
taraqqi ki rahon pe chalna hai ham ko 


andhere ke daman ko ham chaak kar den 
vatan ki fazaon ko nur-e-sahar den 

sunen dard-mandon kī fariyad kya hai 
ġharibon pe dar-asl uftad kya hai 

uthen aur dukhiyon ka dukh duur kar deñ 
masarrat se har dil ko ma.amur kar den 

nai raushni se faza jagmagaen 
nae saaz par ab nae geet gaaen

Monday, 30 December 2019

Jante ho Mohabat kya hai? Apne qeemti waqt ke kuch lamhe kisi ko de dena, kisi ki sn lena


Jante ho Mohabat kya hai?
Apne qeemti waqt ke kuch lamhe
kisi ko de dena, kisi ki sn lena
Kisi ki aankhon se aansu ko chunn lena
Kisi ke zakhmon par naram lehjay mai,
Marham rakh lena aur kisi ko izzat ka
Ehsaas dena
Bus yehi Mohabbat Hai


Saturday, 7 December 2019

Andhiyan gham ki chalin aur karb badal chha gae, Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae, urdu ghzal, urdu poetry by urooj,


Andhiyan gham ki chalin aur karb badal chha gae
Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae 


Kirchi kirchi khvahishen ankhon men chubh kar rah gaiin 
Zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae 

Main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li 
Manzilen aaiin to kyuun ankhon men aansu aa gae 

Tere na aane ke dukh men shiddaten phulou ne kiin 
Waqt se pehle hi sab gajre mire murjha gae 

Qaht jazbon ka pada veeran se hain dil ke nagar 
shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae 

Daava chahat ka nahin par jab use socha 'urūj' 
Phuul Khushbu rang taare aankh men lahra gae 

Monday, 2 December 2019

Aey mohabbat tere anjam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya, best urdu ghazal, urdu poetry, heart touching poetry,


Aey mohabbat tere anjam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya 


Yuun to har shaam umeedon mein guzar jaati hai 
Aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya 

Kabhi taqdir ka matam kabhi dunya ka gila 
Manzil-e-ishq mein har gaam pe rona aaya 

Mujh pe hee khatm hua silsila-e-nauhagari 
Is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya 

Jab hua zikr zamane mein mohabbat ka  
Mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya 

Tuesday, 26 November 2019

Khushaal benazeer hoon Maa ki dua se aaj Mai pyaar ka safeer hoon Maa ki dua se aaj by Ehtesaab Khan Aamir from USA,


Khushaal benazeer hoon Maa ki dua se aaj
Mai pyaar ka safeer hoon Maa ki dua se aaj


Khuda say daikh kitna dar raha hoon main tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai



* خدا سے دیکھو کتنا ڈر رہا ھوں میں

تجوری جیب دونوں بھر رہا ھوں میں*

Khuda say daikh kitna dar raha hoon main

tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai


Padosi bhookha hai, teesra din hai aaj
aur chothi baar umrah kar raha hoon main


Namazai hoon mai punjgana
magar jhooti tijarat kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Masjid sang-e-mar mar ki bna kr
Padosi ko magar tang kar raha hoon mai

Werasat behen ki chupke se kha kar
maafi ki tawaqo kar raha hoon mai

Jo ho shadi to soodi qarze lekar
namood-o-numaish kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Nabi ki zindagi ko tark kar ke
Nabi se ishq ka dam bhar raha hoon mai

Ye chahta hoon keh kaafir ho Musalmaan
Magr islam se khud dar raha hoon mai

Mujhe ALLAH se hai umeed-e-rehmat
Magr din raat chori kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Friday, 22 November 2019