Wednesday, 1 January 2020

Naya saal aaya naya saal aaya, Umidon ka dil men diya jagmagaya, Happy New year 2020, Wish you a happy new year, naya saal mubarak ho

Naya saal aaya naya saal aaya
Umidon ka dil men diya jagmagaya 


nae saal ka ham ko paigham kya hai 
nae saal men ab naya kaam kya hai 

purana tarīqa badalnā hai ham ko 
taraqqi ki rahon pe chalna hai ham ko 


andhere ke daman ko ham chaak kar den 
vatan ki fazaon ko nur-e-sahar den 

sunen dard-mandon kī fariyad kya hai 
ġharibon pe dar-asl uftad kya hai 

uthen aur dukhiyon ka dukh duur kar deñ 
masarrat se har dil ko ma.amur kar den 

nai raushni se faza jagmagaen 
nae saaz par ab nae geet gaaen

Monday, 30 December 2019

Jante ho Mohabat kya hai? Apne qeemti waqt ke kuch lamhe kisi ko de dena, kisi ki sn lena


Jante ho Mohabat kya hai?
Apne qeemti waqt ke kuch lamhe
kisi ko de dena, kisi ki sn lena
Kisi ki aankhon se aansu ko chunn lena
Kisi ke zakhmon par naram lehjay mai,
Marham rakh lena aur kisi ko izzat ka
Ehsaas dena
Bus yehi Mohabbat Hai


Saturday, 7 December 2019

Andhiyan gham ki chalin aur karb badal chha gae, Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae, urdu ghzal, urdu poetry by urooj,


Andhiyan gham ki chalin aur karb badal chha gae
Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae 


Kirchi kirchi khvahishen ankhon men chubh kar rah gaiin 
Zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae 

Main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li 
Manzilen aaiin to kyuun ankhon men aansu aa gae 

Tere na aane ke dukh men shiddaten phulou ne kiin 
Waqt se pehle hi sab gajre mire murjha gae 

Qaht jazbon ka pada veeran se hain dil ke nagar 
shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae 

Daava chahat ka nahin par jab use socha 'urūj' 
Phuul Khushbu rang taare aankh men lahra gae 

Monday, 2 December 2019

Aey mohabbat tere anjam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya, best urdu ghazal, urdu poetry, heart touching poetry,


Aey mohabbat tere anjam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya 


Yuun to har shaam umeedon mein guzar jaati hai 
Aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya 

Kabhi taqdir ka matam kabhi dunya ka gila 
Manzil-e-ishq mein har gaam pe rona aaya 

Mujh pe hee khatm hua silsila-e-nauhagari 
Is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya 

Jab hua zikr zamane mein mohabbat ka  
Mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya 

Tuesday, 26 November 2019

Khushaal benazeer hoon Maa ki dua se aaj Mai pyaar ka safeer hoon Maa ki dua se aaj by Ehtesaab Khan Aamir from USA,


Khushaal benazeer hoon Maa ki dua se aaj
Mai pyaar ka safeer hoon Maa ki dua se aaj


Khuda say daikh kitna dar raha hoon main tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai



* خدا سے دیکھو کتنا ڈر رہا ھوں میں

تجوری جیب دونوں بھر رہا ھوں میں*

Khuda say daikh kitna dar raha hoon main

tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai


Padosi bhookha hai, teesra din hai aaj
aur chothi baar umrah kar raha hoon main


Namazai hoon mai punjgana
magar jhooti tijarat kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Masjid sang-e-mar mar ki bna kr
Padosi ko magar tang kar raha hoon mai

Werasat behen ki chupke se kha kar
maafi ki tawaqo kar raha hoon mai

Jo ho shadi to soodi qarze lekar
namood-o-numaish kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Nabi ki zindagi ko tark kar ke
Nabi se ishq ka dam bhar raha hoon mai

Ye chahta hoon keh kaafir ho Musalmaan
Magr islam se khud dar raha hoon mai

Mujhe ALLAH se hai umeed-e-rehmat
Magr din raat chori kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Friday, 22 November 2019

Jinke khuloos mai to milawat nahi hoti Karne mai pyar unse Thakawat nhi hoti By Aamir Khan, best heart touching poetry, best urdu poetry, urdu ghazal


Jinke khuloos mai to    milawat nahi hoti
Karne mai pyar unse    Thakawat nhi hoti

Ujri hoi hasti ko bana deti hai aurat Dukh zindagi mai phir bhi magar paati hai aurat By Aamir Khan, best ghazal, urdu best poetry, heart touching poetry


Ujri hoi hasti ko bana deti hai aurat
Dukh zindagi mai phir bhi magar paati hai aurat



Dil ko nafrat ka jahan zeher pilaya jai, Kese ulfat ka waha phool khelaya jai, usko ehsas-e-wafa kese dilaya jai by ehtesaab khan Amir, best urdu poetry, best ghazal, urdu heart touching poetry


دل کو نفرت کا جہاں زہر پلایا جاۓ
کیسے الفت کا وہاں پھول کِھلایا جاۓ
Dil ko nafrat ka jahan zeher pilaya jai
Kese ulfat ka waha phool khelaya jai

میری ہر ایک وفا جس کو نظر آۓ جفا
اُسکو احساسِ وفا کیسے دلایا جاۓ
Meri har aik wafa jisko nazar ai jafa
usko ehsas-e-wafa kese dilaya jai

دل کے قرطاس پہ اُسکے میں اُبھرتا ہی نہیں
جس کو محبوب میرے دل کا بتایا جاۓ
Dil ki qirtaas pe uske mai ubharta he nahi
Jisko mehboob mere dil ka bataya jai

اِک انا ہے جو صحن ایک نہیں ہے اپنا
ایسی دیواروں کو کس طرح گرایا جاۓ
ek ana hai jo sehen aik nahi hai apna
Aisee deewaron ko kis tarah giraya jai

وقت کی گرد نے ذہنوں س مٹاۓ ہیں نقوش
کس پہ الزام بُھلانے کا لگایا جاۓ
Waqt ki gird ne zehnon se metai hain naqoosh
Kis pe elzam bhulane ka lagaya jai

رات ہے کرب ہے احساس ہے تنہائی ہے
ایسی وحشت میں کہاں خود کو سلایا جاۓ
Raat hai karb hai ehsaas hai tanhai hai
aisi wehshat mai kahan khud ko silaya jai

بے سکوں  ذات کو میں لے کے سکوں پاؤں کہاں
جاکے پردیس میں کیا خود کو بسایا جاۓ
Be sakon zaat ko main le kay sakoon paon kahan
Jaa ke perdaise mai kya khud ko basaya jai

اپنے اغراض سے جب سب کو غرض ہو عامر
کیسے رشتوں کے تقدس کو نبھایا جاۓ
Apne aghraaz se jab sab ko gharz ho Aamir
Kese rishton ke taqaduss ko nibhaya jai

شاعر
احتساب خان عامر

Tuesday, 19 November 2019

Mai zinda Qom ke khasta zibon haalon se darta hoon, Tabahi per khari murda nai naslon se darta hoon, Heart Touching Poetry by Aamir Khan, best urdu poetry, Aj ke dor ki akaasi,


میں زندہ قوم کے خستہ زبوں حالوں سے ڈرتا ہوں
تباہی پر کھڑی مُردہ نئی نسلوں سے ڈرتا ہوں
نہیں جب فوقیت کوئی کسی گورے کو کالے پر
میں رنگ و نسل کے اُٹھتے ہوۓ فتنوں سے ڈرتا ہوں
نا جانے کون سچا کون جھوٹا کون کافر ہے
مذہب میں نِت نئے بنتے ہوۓ فرقوں سے ڈرتا ہوں
جو حق کے نام پہ تفریق کی ترغیب دیتے ہیں
میں ایسے واعِظوں کے پُرشرّر واعَظوں سے ڈرتا ہوں
بہت بزدل بنا ڈالا ہمیں رسموں رواجوں نے
میں سنّت سے بھری پُرنور سب قدروں سے ڈرتا ہوں
جہاں انسانیت کی خدمتیں بھی اِک تجارت ہوں
فلاح کے نام پہ ایسے غلط دھندوں سے ڈرتا ہوں
امیرِ کارواں بن کے سفینہ جو ڈبو جائیں
شعوروفہم سے عاری میں اُن میروں سے ڈرتا ہوں

لکھوں اب اور کیا عامر خرد سے پاک لوگوں پر
صحیح ہوں یا غلط اپنی اِنہی سوچوں سے ڈرتا ہوں

شاعر
احتساب خان عامر
امریکہ

Mai zinda Qom ke khasta zibon haalon se darta hoon
Tabahi per khari murda nai naslon se darta hoon

Nahi jab foqiat koi kisi goray ko kaalay par
Mai rang-o-nasal ke uthte hoe fitnon se darta hoon

Naa jane kon sacha kon jhoota kon kaafir hai
mazhab mai nit nai bante hoe firqon se darta hoon

Jo Haq ke naam pe tafreeq ki targheeb dete hain
Mai aise waaezon ke pur tasharrar waaezon se darta hoon

Bohat buzdil bana dala hame rasmon riwajon ne
Mai sunnat se bhari purnoor sab Qudraton se darta hoon

Jaha insaaniyat ki khidmaten bhi ek tijarat hon
Falah ke naamon pe aise ghalat dhandon se darta hoon

Ameer-e-Karwaan ban ke safeena jo dibon jaain
Shaoor-o-fehem se Aari mai un Ameeron se darta hoon

Likhon ab or kya Aamir khard se pak logon par
Sahi hoon ya Ghalat apni inhee sochon se darta hoon

                                                         By Ehtisaab Aamir Khan From USA