Monday, 28 October 2019

Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon main milen, Jis tarah sukhe hue phool kitabon main milen by faraz, best urdu poetry, urdu heart touching poetry


Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon main milen
Jis tarah sukhe hue phool kitabon main milen 



Dhundh ujde hue logon mein wafa ke moti 
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen 


Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yar mein shamil kar lo 
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon mein milen 


Tu Khuda hai na mera ishq farishton jaisa 
donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen 


Aaj hum daar pe khinche gae jin baton par 
Kya ajab kal vo zamane ko nisabon mein milen 


Ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai "Faraz
Jaise do shaḳhs tamanna ke sarabon mein milen 

Saturday, 19 October 2019

Chaahe jo tumhe poore dil se Milta hai woh Mushkil se, Aisa jo koi kahin hai Bas wohi sabse Haseen hai, Kal Ho Na Ho


Chaahe jo tumhe poore dil se
Milta hai woh Mushkil se...
Aisa jo koi kahin hai
Bas wohi sabse Haseen hai


Us haat ko tum Thaam lo
Wo meharbaan Kal Ho Na Ho 

Tumhare paas jo hai Tumhare Hisaab se kam hai, Lekin kisi Doosre ki Nazar se dekho, Toh Tumhare paas bohat Kuch Hai


Tumhare paas jo hai
Tumhare Hisaab se
kam hai, Lekin kisi
Doosre ki Nazar se
dekho,
Toh Tumhare paas bohat Kuch Hai


Wo log bohat khush qismat thay jo Ishq ko kaam samajhte thay Ya kaa, se aashqui karte thay, Urdu best poetry, best urdu ghazal, urdu shairy.



Wo log bohat khush qismat thay 
jo Ishq ko kaam samajhte thay
Ya kaa, se aashqui karte thay


Hum jeetay Jee masroof rahe
Kuch ishq kiya, Kuch Kaam kiya

Kaam ishq ke aaray aata raha
Aur ishq se kam ulajhta raha


Phir Akhir tang aa kr humne
dono ko adhura chor diya


Thursday, 3 October 2019

Sabhi Kehtay Hai Mujh Se Ab K Tum Nhi Ho Tumhari Yaad Hai Ab Pr Tum Nhi Ho. URDU GHAZAL, URDU BEST POETRY, BEST GHAZAL, HEART TOUCHING POETRY


Sabhi Kehtay Hai Mujh Se Ab K Tum Nhi Ho
Tumhari Yaad Hai Ab Pr Tum Nhi Ho.


Ye Sb Kuch Jhoot Lagta Hai
Tumhi To Sath Mery Ho

Meray Dil M Khayalo Mai
Humesha Sath Rehty Ho

Meri Umeed Tum Hi Ho
Mera Yakeen Tum Hi Ho

Chalay Ao Chalay Ao
In Sb Ko Batlaon

Nhi Ho Dour Tum Mujh Se
Humesha Sath Rehtay Ho

Yakeen Krna Nhi Mujh Ko
Tumhi Ho Sath Mery Bs

Nhi Jatay Thy Bin Mery
Tum Bs Sath Mery Ho

Tuesday, 10 September 2019

Samandar mai utarta hoon to ankhein bheeg jati hain, by wasi shah, best urdu ghazal by wasi shah, sad ghazal by wasi shah,


Samandar mai utarta hoon to ankhein bheeg jati hainTeri ankhon ko parhta hoon to ankhein bheeg jati hain


Tumhara naam likhne ki ijazat chinn gai jab se
Koi bhi Lafz likhta hoon to ankhein bheeg jati hain

Tere Koochay se ab mera taaluq wajbi sa hai
Magar kb bhi guzarta hoon to ankhein bheeg jati hain

Hazaron moasamo ki hukmurani hai mere dil per
Wasi mai jab bhi hansta hoon to ankhein bheeg jati hain

                             

                                                             By Wasi Shah

Monday, 26 August 2019

Wo Log bohat khush Qismat thay Jo Ishq ko Kaam samajhte Thay ya Kaam se Aashiqi karte thay


Wo Log bohat khush Qismat thay
Jo Ishq ko Kaam samajhte Thay ya Kaam se Aashiqi karte thay


Hum Jeetay Gee masroof rahe Kuch ishq kiya kuch kaam kiya

Kaam Ishq ke aarray aata raha, aur ishq se kaam ulajhta raha

phir aakhir tang aakr hum ne dono ko adhoora chor diya 

Thursday, 15 August 2019

I tried so hard and got so far But in the end, it doesn't even matter


I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

All I know
It's so unreal
Watch you go

I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

Aey Zindagi Tujhe kya Kahoon Mere sath tune kya kia, best urdu ghazal, urdu sad poetry, heart touching poetry


Aey Zindagi Tujhe kya KahoonMere sath tune kya kia


Jahan Aaas ka koi diya nahi
Mujhe us nagar pohancha diya

Naa mai barh sakoon naa mai ruk sakoon
Naa hee dil ki bat samajh sakoon

Naa kisi ko kuch bhi keh sakoon
Tujhe kya kahon tune kya kia

Mujhe manzilon ki khabar to dee
Par Raston ko uljha diya

Aey Zindagi tujhe kya pata
Yaha kis ne kisko gunwaa diya

Aey zindagi tujhe kya kahoon
mere sath tu ne kya kiaa...

Friday, 26 July 2019

Qurban Kyu na jaaon mai us hakeem per Nuskhay mai jisne aap ka dedar likh diya


Qurban Kyu na jaaon mai us hakeem per
Nuskhay mai jisne aap ka dedar likh diya