Monday, 26 August 2019

Wo Log bohat khush Qismat thay Jo Ishq ko Kaam samajhte Thay ya Kaam se Aashiqi karte thay


Wo Log bohat khush Qismat thay
Jo Ishq ko Kaam samajhte Thay ya Kaam se Aashiqi karte thay


Hum Jeetay Gee masroof rahe Kuch ishq kiya kuch kaam kiya

Kaam Ishq ke aarray aata raha, aur ishq se kaam ulajhta raha

phir aakhir tang aakr hum ne dono ko adhoora chor diya 

Thursday, 15 August 2019

I tried so hard and got so far But in the end, it doesn't even matter


I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

All I know
It's so unreal
Watch you go

I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

I tried so hard and got so far
But in the end, it doesn't even matter
I had to fall to lose it all
But in the end, it doesn't even matter

Aey Zindagi Tujhe kya Kahoon Mere sath tune kya kia, best urdu ghazal, urdu sad poetry, heart touching poetry


Aey Zindagi Tujhe kya KahoonMere sath tune kya kia


Jahan Aaas ka koi diya nahi
Mujhe us nagar pohancha diya

Naa mai barh sakoon naa mai ruk sakoon
Naa hee dil ki bat samajh sakoon

Naa kisi ko kuch bhi keh sakoon
Tujhe kya kahon tune kya kia

Mujhe manzilon ki khabar to dee
Par Raston ko uljha diya

Aey Zindagi tujhe kya pata
Yaha kis ne kisko gunwaa diya

Aey zindagi tujhe kya kahoon
mere sath tu ne kya kiaa...

Friday, 26 July 2019

Qurban Kyu na jaaon mai us hakeem per Nuskhay mai jisne aap ka dedar likh diya


Qurban Kyu na jaaon mai us hakeem per
Nuskhay mai jisne aap ka dedar likh diya

Sunday, 2 June 2019

Koi shikva to zer-e-lab hoga, kuch KhamoshI ka bhi sabab hoga, mai bhi huun bazm mein raqib bhi hai, Akhiri faisla to ab hoga, by Mirza Ghalib, best urdu ghazal, best urdu poetry, sad urdu ghazal


Koi shikva to zer-e-lab hoga
kuch KhamoshI ka bhi sabab hoga 


mai bhi huun bazm mein raqib bhi hai 
Akhiri faisla to ab hoga 

aaien mai-Khane mein kabhi vaaiz 
huur bhi hogi aur sab hoga 

bol aai mere dil ki tareeki 
tera suraj toluu kab hoga 

sunta hoga sadaaien us dil ki 
sham-e-tanhaai mein vo jab hoga 

kab chhatengi ye badliyaan ġham ki
saaf matlaa ye 'JOSH' kab hoga 

Rasta sochte rahne se kidhar banta hai, chale chaliye keh chalna hi daleel-e-kamrani hai, kabhi sahar to kabhi shaam le gaya mujhse, mix plate shairi, urdu mix poetry,


Mix Plate
Rasta sochte rahne se kidhar banta hai 
sar mein sauda ho to deevar mein dar banta hai 

chale chaliye keh chalna hi daleel-e-kamrani hai 
jo thak kar baith jaate hain vo manzil paa nahi sakte

kabhi sahar to kabhi shaam le gaya mujhse 
tumhara dard kai kaam le gaya mujhse

Tuesday, 14 May 2019

Koi Sahara na mila, Unke jesa to koi hm ko dobara na mila, Hum bhanwar mai he rahe hum ko kinara na mila


Koi Sahara na mila


Unke jesa to koi hm ko dobara na mila
Hum bhanwar mai he rahe hum ko kinara na mila

Darr gai jab bhi wehshat.e.halaat se hum
manana chaha tha magr koi sahara na mila

Chandni raat mai taron ke aasmaan pe hame
Unki ankhon ki tarah koi sitara na mila'

Raat bhar kyu unki hansi unki haya yaad aai
Jin ki banhon mai zaid ko sahara na mila

Tuesday, 2 April 2019

Iss sukun pe wo har raat qurbaan hai, Mere dil ki awaaz Qurbaan hai, Urdu best ghazal, romantic ghazal, ghazal of girl,


Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.


Iss sukun pe wo har raat qurbaan hai,
Mere dil ki awaaz Qurbaan hai,
Ab jo ye bojh nahi hai to sochta hun
Wo nasamajh bachchon si har shaam Qurbaan hai.
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Aaj subah utha to khud ko halka mehsus kiya,
Dimaag ne aaraam aur dil ne tanha mehsus kiya,
Is tanhaayi me jab rota hun,
To lagta hai ki uska har saath Qurbaan hai,
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Har zikr pe ham kuch soch uthte hai,
Har jaam pe kuch kho baithte hai,
Iss jaam ki kasam ab saki bhi nahi deti,
Kyunki uski yaad me ye meykhaana Qurbaan hai,
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Din-b-din samay guzar raha hai,
Hamara dil vyarth hi doob raha hai,
Ham baithe hai uske aasmaan tale,
Chaand ka sauda uska pehredaar sitara kar raha hai.

Daam hamne bhi chukaya hai,
Karz hamne bhi uthaya hai,
Magar uss ke haq pe ye samaj beyimaan hai,
Iss marz se dil lahu-luhaan hai,
Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Ab to uski kami bhi mehsoos nahi hoti,
Har ghadi ab uske khayaalon me masroof nahi hoti,
Magar jab sochta hun mere waqt pe uske nishaan,
To lagta hai uski hasi pe mera namo-nishaan Qurbaan hai,

Iss sukun pe wo har raat Qurbaan hai.

Wednesday, 27 March 2019

Usne dil ka haal batana chor diya hum ne bhi gehrai mai jana chor diya, best urdu poetry, sad urdu ghazal, heart touching poetry


Usne dil ka haal batana chor diya
hum ne bhi gehrai mai jana chor diya


Jab usko he doori ka ehsas nahi
Hum ne bhi ehsaas dilana chor diya

Mai ne kaha raste hain dushwaar bohat
usne tab se sath nibhana chor diya

Jab ye kaha keh karna yaad duaon mai
usne dua mai hat uthana chor diya

Saturday, 9 March 2019

Ye kab kehti hon tum mere gale ka haar banjao wahi se lot jana jaha se bezaar hojao by perveen shakir


Ye kab kehti hon tum mere gale ka haar banjao
wahi se lot jana jaha se bezaar hojao


Mulaqaaton mai waqfa sliye hona zarori hai
keh tum ek din judai ke liye tayaar hojao

bohat jald samajh mai anay lagte ho zamane ko
Bohat asaan ho thoray bohat dushwaar hojao

Bala ki dhoop se aai hon mera haal to dekho
bas ab aisa karo tum sayaae dewaar hojao

abhi parhne ke din hain likh bhi lena haal.e.dil apna
Magar likhna tabhee jab laaeq.e.izhaar hojao