Thursday, 30 November 2017

Waqt Hai Jhonka Hwa Ka, Thehrti Hui Shab-e-Syah Aur Wo Bi Taweel Tar, Kun Har Baat Pe Koste Hain Log December Ko, Kisi Ko Dekhon Tu Mathe Pe Mah-o Sal Milain, Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam, December ki sard udass kali Ratoo main, Ye Barish Ye Sard Hawa Ye Hijr Ka Aalm, Ik Bar Tu Milne Aao December Aane Wala Hai, Sard Hawain Kia Chali Mere Shehr Main, December Ki Bhegi Shamon Main, Woh Jise Barish Pasand Na Thi, uru poetry, december poetry, urdu shairy, two line poetry, urdu sms poetry, december ki shairy, heart touching poetry

  DECEMBER POETRY


----------------------***************--------------------------
Waqt Hai Jhonka Hwa Ka, Aur Ham Hain Faqt Pele Pate
Kon Jane Agle December, Tum Kahan Aur Ham Kahan

----------------------***************--------------------------

Thehrti Hui Shab-e-Syah Aur Wo Bi Taweel Tar
Mohsin Hijr Ke Maron Par Qayamat Hai December

----------------------***************--------------------------
Kun Har Baat Pe Koste Hain Log December Ko
Kia December Ne Kha Tha… Mohabat Kar Lo


----------------------***************--------------------------
Kisi Ko Dekhon Tu Mathe Pe Mah-o Sal Milain
Khain Bikharti Hui Dhol Mai Sawal Milain
Aao Kuch Dair December Ki Dhop Mai Bethain
Ye Furstain Hmain Shayad Na Aglay Sal Mlain


----------------------***************--------------------------

Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam
Sulagta Rha Dil K Andar Akele
Irada Tha Ji Lo Ga Tuj Se Bichar Kar
Guzrta Nahi Aik December Akele


----------------------***************--------------------------

December ki sard udass kali Ratoo main
Terey hijar kay naag bhot dasaa krty hain


----------------------***************--------------------------

Ye Barish Ye Sard Hawa Ye Hijr Ka Aalm
Ghuman Hota Hai Is Bar December Mar Hi Dale Ga



----------------------***************--------------------------

Ik Bar Tu Milne Aao December Aane Wala Hai
Kesa Guzra Hai Ye Sal Btao, December Aane Wala Hai
Khush Ho Jao K Milne Ka Sal Aa Raha Hai Phir
Wasi Yun Na Aansu Bahao December Aane Wala Hai
Shayad Ab K Baras Bi Wo Lot Kar Na Aye
Tanhion Abi Chor Kar Na Jao, December Aane Wala Hai
Ye Kya K Raat Din Us Ki Yaad Mai Doobe Rehna
Na Gham Ki Barish Mai Nahao, December Aane Wala Hai
Ae Mere Dukhon Ke Sathio Khush Ho Jao
Apne Apne Ghron Ko Sjao December Aane Wala Hai
Kia Pta Phir December Aye Na Aye Jan-e Wasi
Meri Mano Ab Tum Lot Ayo December Aane Wala Hai
Han December Ane Wala Hai


----------------------***************--------------------------

Sard Hawain Kia Chali Mere Shehr Main
Har Tarf Yaadon Ka December Bikhr Gya


----------------------***************--------------------------

December Ki Bhegi Shamon Main
Kali Lambi Raaton Main
Teri Yaad Hamrah Ho Tu
Shamain Yun Hi Guzr Jayen
Raatain Mukhtsar Ho Jayen
Ham Teri Yaadon Mai Kho Jayen
Tu Ye December Tu Kya
Kai December Guzr Jayen

----------------------***************--------------------------

Woh Jise Barish Pasand Na Thi,
Najane Kion? Aj Dair Tak Tanha,
December Ki Barish me  bheegta Raha…

Saturday, 4 November 2017

Tu nahi to zindagi mai aur kya reh jaiga door tak tak tanhaaiyon ka silsila reh jaiga, best urdu ghazal, sad urdu poetry, heart touching poetry


Tu nahi to zindagi mai aur kya reh jaiga
door tak tak tanhaaiyon ka silsila reh jaiga

dard ki sari taahein aur sare guzre haadsay
sab dhuaan hojainge ek waaqiya reh jaiga

youn bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
ye bhi hoga khud usi mai ek khalla reh jaiga

daair.e.inkaar ke qaraar ki sargoshiyaan
ye agar tootay kabhi to fasla reh jaiga

Sunday, 29 October 2017

Wo humsafar tha magar us se hum-nawaai na thi Ke dhoop chhaaon ka aalam raha, judaai na thi, urdu best ghazal, best urdu poetry,


Wo humsafar tha magar us se hum-nawaai na thi
Ke dhoop chhaaon ka aalam raha, judaai na thi


Muhabbaton ka safar is tarah bhi guzraa tha
Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi

Adavatein thi, taghaful tha, ranjishein thi bohat
Bichharne wale mein sab kuch tha be-wafaai na thi

Bichharte waqt un ankhon mein thi hamari Ghazal
Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi

Kise pukaar raha tha woh doobta hua din
Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi

Ajeeb hoti hai raah-E-sukhan bhi, dekh ‘Naseer’
Wahaan bhi aagaye aakhir, jahaan rasaai na thi

Saturday, 14 October 2017

Faaslay aise bhi hongay, ye kabhi socha na tha samne betha tha mere aur wo mera na tha, best urdu ghazal, urdu poetry, sad urdu ghazal, urdu shairy, heart touching urdu poetry, adeem poetry, urdu adab


Faaslay aise bhi hongay, ye kabhi socha na tha
samne betha tha mere aur wo mera na tha


khud charha rakhe thay tann per ajnabiyat ke ghilaaf
warna kab ek dosre ko hum ne pehchan na tha

raat bhar pichli he aahat kaan mai aati rahi
jhaank kar dekha gali mai, koi bhi phirta na tha

ye sabhi veeraaniyan uske juda hone se thi
aankh dhundlai hoi thi sheher dhundlaya na tha

sainkron toofan lafzo ke dabe thay zer.e.lab
aik pathar tha khamoshi ka keh jo hilta na tha

yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi
ab siwae bhool jane ka chaara na tha

Saturday, 7 October 2017

Teri rahmat athhaah! Ya Allaah Main ghariq e gunaah Ya Allaah


Teri rahmat athhaah! Ya Allaah
Main ghariq e gunaah Ya Allaah


Dur beeni ke par bahut chhote
Saazishen, be panaah Ya Allaah

Kitni aabaad hain kamin gaahen
Lut gayi khanqaah!! Ya Allaah

Kiya kare ab tera sipah saalaaar
Dar gayi hai sipaah!! Ya Allaah

Zindagi kitni jabr hai, phir bhi
Kyon hai jine ki chaah Ya Allaah

Aansuon ki pukaar ab sun le!!
Khol bakhshish ki raah Ya Allaah

Monday, 2 October 2017

Jab kabhi zindagi ki rahon pe, chalte chalte mai thak c jati hoon, zindagi ki kahani, khwabon ki taber, best urdu lines, urdu poetry, dream poetry


Jab kabhi zindagi ki rahon pe,
chalte chalte mai thak c jati hoon,


mujhko lagta hai sab adhoora hai
jo mila hai, jo milne wala hai

be-sabab hain musafatein saari
kon pata hai raahatein saari

khwahishein to saraab jesi hain
sach kahon to azaab jesi hain

aise aalam mai phir mujhe aksar
ek sada c sunai deti hai

roshni c dekhai deti hai
jo utarti hai dil ke aangan mai

aur kehti hai aaj moqa hai
aaj maango jo mangna chaho

jo nahi hai tumhare hisse mai
aaj rehmat khuda ki aai hai

khud barasne tumhari hasti per
aaj maango jo maangna chaho

aur mai hoon keh maang leti hoon
apne khwabon ki chand taabeerein

Sunday, 1 October 2017

Bohut kathin tha nibhana, nibaah main ne kiya Khud apne aap ko yani tabaah main ne kiya, urdu sad ghazal, best urdu poetry, urdu shairy, best ghazal,


Bohut kathin tha nibhana, nibaah main ne kiya
Khud apne aap ko yani tabaah main ne kiya


Mila tha jab keh mujhe tu sufaid-umri mein
Tujhe bhi pyaar magar be-panaah main ne kiya

Mai tere jism ke ander tha baat karte hue
Tujhe pata bhi nahi jo gunaah main ne kiya

Jo kamsukhan the miyan wo bhi daad dene lage
Kisi ke she'r pe jab waah waah main ne kiya

Tu mere jurm ki tamheed.e.be-gunaahi dekh
Koi wakeel na koi gawaah main ne kiya

Tumhare ishq pe woh naaz hai mujhe janaa...
K is Ghuroor mein sar kaj-kulaah main ne kiya

Bayaan.e.haal mufassal nahi hua ab tak Jo mas'ala tha wohi hal nahi hua ab tak, urdu best ghazal, urdu best poetry, heart touching poetry, beautiful shairy,


Bayaan.e.haal mufassal nahi hua ab tak
Jo mas'ala tha wohi hal nahi hua ab tak


Nahi raha kabhi main teri dastaras se door
Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak

Bichhar ke tujh se ye lagta tha tut jaunga
Khuda ka shukr hai paagal nahi hua ab tak

Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh.e.umeed
Tumhara dar bhi muqaffal nahi hua ab tak

Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
Mera wajood mukammal nahi hua ab tak

Daraaz dast.e.tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak

Saturday, 30 September 2017

Ehbaab ki surat ho keh Aghyaar ki surat, Har chehre main aati hai nazar yaar ki surat, best urdu ghazal, urdu best shairy, urdu best poetry by wasif,


Ehbaab ki surat ho keh Aghyaar ki surat,
Har chehre main aati hai nazar yaar ki surat,


Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon,
Hai is ke siwa kya tere deedar ki surat,

pehchan liya tujh ko teri sheesha gari se,
aati hai nazar fun se he funkaar ki surat

surat meri ankhon main samayegi na koi,
nazron main bassi rehti hai sarkaar ki surat

Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareeday
Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki surat

Wasif ki sar-e-dar pukara hai kisi ne
inkaar ki surat hai na izhaar ki surat

Saturday, 9 September 2017

Yeh jo aksar rulatey ho, Mohabbat yun nahi hoti, Mujhay har pal satatey ho, Mohabbat yun nahi hoti, Best urdu ghazal, urdu best poetry, urdu ghazal, urdu poetry,


Yeh jo aksar rulatey ho,  Mohabbat yun nahi hoti,
Mujhay har pal satatey ho, Mohabbat yun nahi hoti,


Mein jab thak haar kar mayous hojaun,
To phir khud hi aa kar mujhay manatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Nazar andaz kartey ho tum ashko ki rawani ko,
Khud hi mujh ko manatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Kabhi mujh pey mohabbat sey dil-o-jaan waar detay ho,
Kabhi easa jatatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Yeh tum umeed rakhtey ho ayan kardun mein sub jazbey,
Magar tum khud chupatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Meri janib jo aata hai,Wo rastaa bhool jatey ho,
Hamesha azmatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,

Kabhi to merey ghar key sub ujaloon ko bujhatey ho,
Kabhi jugnu le aatey ho,

Mohabbat yun nahi hoti,
Mohabbat!yun nahi hoti...