Monday, 15 August 2016

Ye qafas hi mujh ko aziz hai.Yahan jee to lon ga qaraar se.Mujhe ab chaman main na le k ja. Main dara howa hon bahaar se.


Ye qafas hi mujh ko aziz hai.
Yahan jee to lon ga qaraar se.


Mujhe ab chaman main na le k ja.
Main dara howa hon bahaar se.

Gham-e-Aashiqi se bhi sakht tha.
Gham-e-zindagi ka marka.

Jo shikast khaai to ro diya.
Main lipat k daaman-e-yaar se.

Main yaaro kis ka karoon gila.
Hai mera naseeb hi bewafa.

Wohi mujh se karte hain dushmani.
Jinhain dekhta hoon main piyar se.

Sunday, 31 July 2016

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi by mohsin


Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi


Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Saturday, 30 July 2016

Diya Khud Se Bujha Dena Hawa Ko Aur Kia Dena ? Sitare Nochne Walo Falak Ko Aasra Dena Mujhe Acha Laga “Mohsin” Ose Pa Kar Ganwa Dena


Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?


Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Friday, 29 July 2016

Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi, Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi, urdu poetry, alone poetry, bewafa poetry


Khawb ankhon se gaye, neend raton se gayi,
Woh geya to ese laga zindagi hathon se gayi,


Sookhay they phool tere janey ke baad,
Ab to khushbuu bhi kitaabon se gayi,

Tere aney se barhti thi jo raftaar dharkan ki,
Ab to rawaani bhi meri saanson se gayi,

Kis daur mein mohabbat ko ilzaam dete ho,
Jis daur mein hayaa bhi hijaabon se gayi..

Wednesday, 27 July 2016

Mujhe ab darr nahin lagta, kisi ke door jane se, Taluq toot jane se Kisi ke maan jaane se, Kisi ke rooth jaane se, Mujhe ab Darr nahin lagta, Sad urdu poetry, udas ghazal,


Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se


Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se

Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se

Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se

Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se

Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se

Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se

Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se

Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se

Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se

Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se

Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se

Mujhe ab darr nahin lagta..

Saturday, 16 July 2016

Ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana by meer mehdi majrooh


Ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana
samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana


ik umer ke dukh paa.e sote hain faraghat se
ai ghalghala-e-mahshar hum ko na jaga jaana

kya yaar ki bad-khuui kya ghair ki bad-khvahi
sarmaya-e-sad-aafat hai dil hi ka aa jaana

kuch arz-e-tamanna men shikva na sitam ka tha
main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana

chilman ka ulat jaana zahir ka bahana hai
unko to baha-surat ik jalva dikha jaana

hai haq ba-taraf uske chahe sai sitam kar le
usne dil-e-ashiq ko majbur-e-wafa jaana

majruh hue maa.il kis aafat-edauran per
ai hazrat-e-man tum ne dil bhi na laga jaana

                                          -By Meer Mehdi Majrooh

Sunday, 26 June 2016

Wo kehta hai suno Aemin mere dil ki tamanna hai, Keh ab jo Eid mai Aao Pehnna Zard rang jora, Tumhare Husan ko ye zard rang Takmeel bakhshega, Mai kehti hon mere dilbar zara tehro... urdu poetry by Syeda Aemin, best urdu poetry, very heart touching poetry,


Wo kehta hai suno Aeman
mere dil ki tamanna hai

وہ کہتا ہے سنو ایمن
میرے دل کی تمنا ہے 

Keh ab jo Eid mai Aao
Pehnna Zard rang jora
کہ اب جو عید میں آو 
پہننا زرد رنگ جوڑا

Tumhare Husan ko ye zard rang
Takmeel bakhshega..!!
تمہارے حسن کو یہ زرد رنگ
تکمیل بخشے گا!!

Mai kehti hon mere dilbar
zara tehro...
میں کہتی ہوں میرے دلبر 
زرا ٹہرو...

zara socho..
bare he zard chehray,
زرا سوچو ...
بڑے ہی زرد چہرے،

zard ankhein,
mai ne dekhi hain
زرد آنکهیں ،
میں نے دیکهی ہیں..

ye mere mulk mai
aik aisa gosha bhi hai
یہ میرے ملک میں 
ایک ایسا گوشہ بهی ہے 

Keh jis mai...
hazaaron log ghurbat se,
کہ جس میں ...
ہزاروں لوگ غربت سے،

Qehat saali se marte hain...
zara aik pal ko to socho
قحط سالی سے مرتے ہیں...
زرا ایک پل کو تو سوچو

Jahan pr pait ki dozakh ko bharne ko
nawala bhi nahi milta
جہاں پر پیٹ کی دوزخ کو بهرنے کو
نوالہ بهی نہیں ملتا

Jaha pr pyaas ki shiddat se marte
zard chehron ki pokarein
جہاں پر پیاس کی شدت سے مرتے
زرد چہروں کی پکاریں

Naa suni jaain..
waha pr Eid kesi ho?
نا سنی جائیں...
وہاں پر عید کیسی ہو؟

Kai Masoom bache
bhooke boorhe, yaad atay hain...
کئی معصوم بچے،
بهوکے بوڑهے، یاد آتے ہیں...

Mujhe ab zard Aanchal se bara he khof ata hai!!
wo kehta hai chalo choro
مجهے اب زرد آنچل سے بڑا ہی خوف آتا ہے!!
وہ کہتا ہے چلو چهوڑو..

magar itna suno jaanan
tumhari jheel aankhon ke
مگر اتنا سنو جاناں
تمہاری جهیل آنکهوں کے

tasavvar se he pagal hon...
keh ab jb Eid pr aao
تصور سے ہی پاگل ہوں...
کہ اب جب عید پر آو..

to apni bhuri aankhon mai
zara sa kajol laga lena...
تو اپنی بهوری آنکهوں میں
زرا کاجل لگا لینا...

mai chashme badd se darta hon!!
mai kehti hon, suno pagal!!
میں چشم بد سے ڈرتا ہوں!
میں کہتی ہوں سنو پاگل!!

ye darya jheel, nehron se
bari wehshat c hoti hai
یہ دریا،جهیل،نہروں سے
بڑی وحشت سی ہوتی ہے..

ab inka zikar mat karna
keh in mai bhooki maain
اب ان کا زکر مت کرنا...
کہ ان میں بهوکی مائیں،

majboor ho kar kudh jati hain
mai paani ke har aik qatre mai
مجبور ہوکر کود جاتی ہیں...
میں پانی کے ہر اک قطرے میں

inki cheekh sunti hoon
to aisi bhook se majboor maaon ki
ان کی چیخ سنتی ہوں...
تو ایسی بهوک سے مجبور ماوں کی

bhala phir Eid Kesay ho??
بهلا پهر عید کیسے ہو؟

ab unka zikar mat karna
meri aankhon ko ab unse
اب ان کا زکر مت کرنا...
میری آنکهوں کو اب ان سے

kabhi tashbeeh mat dena!!
کبهی تشبیہ مت دینا..!!

wo kehta hai zara surkhi
tum honton pr laga lena..
وہ کہتا ہے زرا سرخی
تم ہونٹوں پر لگا لینا...

Keh meri Eid ko rangeen
karne ka ye zariya hai
کہ میری عید کو رنگین
کرنے کا یہ زریعہ ہے..

mai kehti hon suno janan
tum bharham nahi hona...
میں کہتی ہوں سنو جاناں 
تم برہم نہیں ہونا ...

mere khayalat se
jazbat ko madham nahi karna...
میرے خیالات سے
جزبات کو مدہم نہیں کرنا...

magar meri nighaahon main
abhi bhi qaed hai wo manzar
مگر میری نگاہوں میں 
ابهی بهی قید ہے وہ منظر..

keh bache school ko nikle
kabhi wapis nahi ai...
کہ بچے اسکول کو نکلے..
کبهی واپس نہیں آئے..

wo inka khoon jo
mujasmon se nikla
وہ انکا خون جو 
جسموں سے نکلا،

farsh pr bikhra
wo in ke jism jo
فرش پر بکهرا..
وہ ان کے جسم جو 

liptay hoe thay surkh
maai mai...
لپٹے ہوئے تهے سرخ
مائع میں...

bhala mere ye lab s 
khoon se zyada surkh hain...
بهلا میرے یہ لب اس
خون سے زیادہ سرخ ہیں...؟

ye unki raah taktii maain
bhi kya Eid manati hain??
یہ ان کی راہ تکتی مائیں
بهی کیا عید مناتی ہیں؟

mujhe ab surkh laali se
bari takleef hoti hai
مجهے اب سرخ لالی سے 
بڑی تکلیف ہوتی ہے..

meri aankhon mai inke
khoon ki tasveer ubharti hai!!
میری آنکهوں میں ان کے
خوں کی تصویر ابهرتی ہے...!!

wo kehta hai
tumhe Eid ke tohfe main
وہ کہتا ہے 
تمہیں میں عید کے تحفے میں

ab ke khushbu laa donga
main kehti hoon bhala khushbu
اب کے خوشبو لا دونگا...
میں کہتی ہوں بهلا خوشبو

se mere watan ka bagheecha
phir se khelegaa?
سے میرے وطن کا باغیچہ
پهر سے کهلے گا؟

keh mere bagheechay se
barudh ki badbu ati hai
کہ میرے باغیچے سے
بارود کی بدبو آتی ہے...

nohat se be gunahon ka yaha par
khoon girta hai..
بہت سے بے گناہوں کا یہاں پر
خون گرتا ہے..

wo in ke khoon ki khushbu se
barh kar kya aziyat hai?
وہ ان کے خون کی خوشبو سے
بڑه کر کیا ازیت ہے؟

bhala in ke yateemon ki bhi Eidein
hum c hoti hain?
بهلا ان کے یتیموں کی بهی عیدیں 
ہم سی ہوتی ہیں؟...

wo kehta hai chalo tum kuch nahi karna
magar mehndi laga lena
وہ کہتا ہے چلو تم کچه نہیں کرنا 
مگر مہندئ لگا لینا...

keh meri Eid tumhari mehndi
ke bin adhori hai
کہ میری عید تمہاری مہندی
کے بن ادهوری ہے...

Mai kehti hon
kabhi dekha hai?
میں کہتی ہوں 
کبهی دیکها ہے ؟

us bewa ke haton ko
ke jis ke shohar ne factory main
jalto moat dekhi ho..?
اس بیوہ کے ہاتهوں کو...
کے جس کے شوہر نے فیکٹری میں
جلتی موت دیکهی ہو...؟ 

yaqeen mano mera ab churiyaan
mehndi, mohabat se nahi taaluq
یقین مانو میرا اب چوڑیاں،
مہندی،محبت سے نہیں تعلق..

mere khayalaat main ab bhookey bache
saans lete hain...
میرے خیالات میں اب بهوکے بچے 
سانس لیتے ہیں...

to un khayalaat mai mujhko batao
neend kese ho??
تو ان خیالات میں مجهکو بتاو
نیند کیسے ہو؟

keh in halaat se bezaar dil ki
EID KESE HO
کہ ان حالات سے بیزار دل کی
عید کیسے ہو؟
                                               -(Syeda Aemin)

Saturday, 25 June 2016

Porane ghar ko giraya to baap rone laga Khushi ne dil sa dukhaya to baap rone laga, sad urdu poetry,


Porane ghar ko giraya to baap rone laga
Khushi ne dil sa dukhaya to baap rone laga

پرانے گھر کو گرایا تو باپ رونے لگا
خوشی نے دِل سا دُکھایا تو باپ رونے لگا

ye rat khanste hain kooft hoti hai
bahu ne sab mai jataya to baap rone laga
یہ رات کھانستے رہتے ہیں کوفت ہوتی ہے
بہو نے سب میں جتایا تو باپ رونے لگا

kai azizon ke marne pe baap roya nahi
jo aaj na raha taya to baap rone laga
کئی عزیزوں کے مرنے پہ باپ رویا نہیں
جو آج نہ رہا تایا تو باپ رونے لگا

اَذان بیٹے کے کانوں میں دے رہا تھا میں
اَذان دیتے جو پایا تو باپ رونے لگا
.
جو اَمی نہ رہیں تو کیا ہُوا کہ ہم سب ہیں
جواب بن نہیں پایا تو باپ رونے لگا
.
ہزار بار اُسے روکا میں نے سگریٹ سے
جو آج چھین بجھایا تو باپ رونے لگا
.
بہن رَوانگی سے پہلے پیار لینے گئی
جو کچھ بھی دے نہیں پایا تو باپ رونے لگا
.
بٹھا کے رِکشے میں ، کل شب رَوانہ کرتے ہُوئے
دیا جو میں نے کرایہ تو باپ رونے لگا
.
طبیب کہتا تھا پاگل کو کچھ بھی یاد نہیں
گلے سے میں نے لگایا تو باپ رونے لگا
.
بہت سی لاشوں میں جذبے دَھڑکتے رِہتے ہیں
سر اُس کا میں نے دُھلایا تو باپ رونے لگا

نہ جانے قیسؔ نے کس جذبے سے یہ کیا لکھا
کہ جونہی پڑھ کے سنایا تو باپ رونے لگا

Khayal jiska tha mujhe, khayal mai mila mujhe sawaal ka jawab bhi, sawaal mai mila mujhe, sad poetry, urdu sad poetry, udas ghazal,


Khayal jiska tha mujhe, khayal mai mila mujhe
sawaal ka jawab bhi, sawaal mai mila mujhe

خیال جس کا تھا مجھے ، خیال میں ملا مجھے
سوال کا جواب بھی ، سوال میں ملا مجھے

Gaya to s tarah gaya, keh muddaton nahi mila
mila jo phir to youn keh wo, malaal mai mila mujhe
گیا تو اِس طرح گیا ، کہ مدتوں نہیں ملا
ملا جو پھر تو یوں کہ وہ ، ملال میں ملا مجھے

Saturday, 28 May 2016

Main tujh ko pukarun tu mera phir, jhumna behtar, tu mujh ko pukar uthy tu mujh py raqs wajib hai, urdu poetry by Kainat Ateeq


Main tujh ko pukarun tu mera phir, jhumna behtar,
tu mujh ko pukar uthy tu mujh py raqs wajib hai